Behak janay ka nuskha day humain koi

Hajoom E Tanhai Zauq e sukhan urdu shayari

behak janay ka nuskha day humain koi…
peenay ko peeyay hain hum ne jaam boht…

khaloos ki keemat lagatay hain humare woh…
khud unki tau tawajo k bhi hain daaam boht…

asar se intezaar kertay rehay thay jis mehman ka…
aaj nahi aya kehta hay ho gae hay shaam boht…

seeta ki matti ka kasoor tha jo lipat rehi thi pairo se…
nazar nazar ki baat hay go dunya main hain raam boht…

hum unki pairawee main nikal gayay hain usi rastay pe…
lutnay kay shauqeen hain werna us nager main hain gaam boht…

hajoom main tanhai se bachna muhaal hota yun k…
tanhai ko hajoom se hain ab bhi kaam boht…

by hajoom e tanhai


بہک جانے کا نسخہ دے ہمیں کوئی۔۔
پینے کو پیئے ہیں ہم نے جام بہت۔۔۔

خلوص کی قیمت لگاتے ہیں ہمارے وہ۔۔
خود انکی تو توجہ کے بھی ہیں دام بہت۔۔۔

عصر سے انتظار کرتے رہے جس مہمان کا۔۔
آج نہیں آیا کہتا ہے ہوگئ ہے شام بہت۔۔

سیتا کی مٹی کا قصور تھا جو لپٹ رہی تھی پیروں
سے۔۔
نظر نظر کی بات ہے گو دنیا میں ہیں رام بہت۔۔۔

ہم انکی پیروی میں نکل گئے ہیں اسی رستے پر۔۔۔
لٹنے کے شوقین ہیں ورنہ اس نگر میں ہیں گام بہت۔۔۔

ہجوم میں تنہائی سے بچنا محال ہوتا یوں کہ۔۔
تنہائی کو ہجوم سے ہیں اب بھی کام بہت۔۔۔
از قلم ہجوم تنہائی

Rate us below

Rating
behak janay ka nushkha
> » Home » Zauq e sukhan urdu shayari » Hajoom E Tanhai » Behak janay ka nuskha day humain koi